Sunday, June 12, 2011

Urdu Poetry Barish Usay Pasand Hay Barsaat Be Kam Kam Barsay Kaisay Uthay Badaal



barish usay pasand hay

 

Suna hay barish usay bhi pasand hay
wo bhi meri tarhan barasti bundon ko hathon may samayt leti hay
Suna hay Phool usay bhi pasand hain
Wo bhi meri tarhan phoolon say ghanton batain karti rehti hay
Suna hay chand usay bhi pasand hay
Wo bhi meri tarhan raat raat bhar usay takti rehti hay
Suna hay tanhai usay bhi pasand

Barsaat Be Kam Kam Barsay

 

Itni Shidat Se To Barsaat Be Kam Kam Barsay
Jis Traha Ankh Teri Yaad Main Cham Cham Barsay
Minatien Kon Kary Aik Gharondy Ke Lye
Kah Do Baadal Se Barasta Hai To Jam Jam Barsay

Kaisay Uthay Badaal

 

Kaisi Beeti Raat Kissi Se Mat Kehna
Sapnon Wali Baat Kissi Se Mat Kehna
Kaisay Uthay Badaal Or Kahan Takray
Kaisi Hui Barsaat Kissi Se Mat Kehna


No comments:

Post a Comment