Sunday, June 12, 2011

Ahmed Faraz Shayari Labon pe Hansi Lamhay Yad Rakhata Hoon Mein Yunhi Bewafa Bas Yahi Soch kar

Labon pe hansi

Labon pe hansi ankhon main sawal rakhta tha
is zarf main itna kamal rakhta tha
kia khaber thi mujhy hi bhool jae ga
jo meri ik ik cheez sanbhal rakhta tha
suna hai log ab boht sataty hain usy
main jis ka itna khyal rakhta tha

Lamhy Yaad Rakhta Hoon

Main Logo’n Se Mulaqato’n K
Lamhy Yaad Rakhta Hoon
Main Baatai’n Bhuul Bhi jao’n
Tou Lehjy Yaad Rakhta Hoon
Sar-e-Mehfil Nigahai’n Mujh Pe
Jin Logo’n Ki Parti Hyn
Nigaho’n k Hawaly Se
Wo Chehry Yaad Rakhta Hoon
Zara Sa Hut k Chalta Hoon
Zamany Ki Riwa’yat Se
K Jin Pe Bojh Main Daalo’n
Wo Kaandhy Yaad Rakhta Hoon

Mein Yunhi Bewafa

Hum Zamanay Mein Yunhi Bewafa Mashoor Ho Gaye Faraz,
Hazaroon Chahnay Waly Thay Kis Kis Say Wafa Kartay !!!!

Bas Yehi Soch Ker

Bas Yehi Soch Ker Tujhse Mohabbat Kerta Hoon Mein Faraz,
Mera To Koi Nahi Hai Magr Tera TU Koi Ho!!

No comments:

Post a Comment