Saturday, June 18, 2011

Urdu Poetry Mohabbat Ho to Aise Ho, Khoyi Khoyi Si Dheemi Dheemi Si, Ik Saal Purana Qissa Hai


Mohabbat ho to aesi ho

 

Asar dil per karay shikwa,
shikayat ho to aisi ho.!
Galay lag kar koi roye,
Nadamat ho to aisi ho.!

yehi mehsus ho jaisay
kai sadiyan guzari hain
faqat ek pal ki furqat mein,
Aziat ho to aisi ho..!!
mujhe kanta chubhay aur
us ki ankhon se lahu tapke,
talluq ho to aisa ho,
MUHABAT ho to aisi ho.

Khoyi Khoyi Si Dheemi Dheemi Si


Khoyi Khoyi Si
Dheemi Dheemi Si
Thori An-kahi
Thori Si Muskurati
2 Dilo’n ki Hy Ijazat
Mera Naam Hy Mohabbat
Bheege Sapne
Kachi Yaadei’n
Choti Choti Dil Ki Baatei’n
Kehti Hy Ye Zindagi
Kesi Hy Deewangi
Koi Rehta Hy
Aahato’n k Kinarey
Choo Loon Tou Sansanahat
Mera Naam Hy Mohabbat
Kuch Tehreerei’n
Likhte Rehna
Apne Ghar Main
Chalte Rehna
Anjani Baato’nMain Bhi
Hoti Hy Dil Ki Lagi
Sookhey Lamho’n Main
Baarisho’n k Kinarey
Honto’n Pe Hy Shararat
Mera Naam

Ik Saal Purana Qissa Hai


Ik Saal Purana Qissa Hai
Ik Larka Tha Deewana Sa
Karta Tha Manmana Sa
Wo Shokh Shokh Chanchal Sa
Mehka Mehka Pagal Sa
Ik Roz Muhabbat Ker Betha
Or Ab K Sal Ka Qissa Hai
Ab Wo Mazi Ka Hissa Hai
Wo Pyaar Pe Jaan Ko Waar Gya
Or Apne Aap Ko Maar Gya
Sare Jag Se Jeet Gya
Bas Apne Aap Se Haar Gya

No comments:

Post a Comment